gaata raha hai duur koi hiir raat bhar
main dekhta raha tiri tasvir raat bhar
taron ke TuTne ki sada gunjti rahi
hoti rahi hai raat ki tash.hir raat bhar
suraj ne sub.h-dam mire paanv men Daal di
main toḌta raha huun jo zanjir raat bhar
main ḳhamushi men Duub ke kuchh sochta raha
kuchh bolti rahi tiri tasvir raat bhar
main chal paḌa to kaT ke vo qadmon men aa giri
laTki hai mere sar pe jo shamshir raat bhar
main so gaya ‘rashid’ to haala bikhar gaya
sujhi na koi chand ko tadbir raat bhar
Leave a Reply