na koi naqsh na paikar sarab charon taraf
tamam dasht asir-e-azab charon taraf
masih-e-vaqt ab aa.e to bas ḳhuda aa.e
payambaron ki zamin aur azaab charon taraf
main bichon-bich khaḌa huun sulagte jangal men
hisar bandhe hue aftab charon taraf
hamare naam likhi ja chuki thi rusva.i
hamen to hona tha yuun bhi ḳharab charon taraf
fasil-e-dard se yadon ki dhuup Dhalti hui
bikharte TuTte rangon ka ḳhvab charon taraf
‘mujibi’ kam nahin ‘fikri’ ki dosti ki panah
agarche dushman-e-jan be-hisab charon taraf
Leave a Reply