vafa ka zikr ho be-mehri-e-butan ki tarah
yahan ḳhulus bhi arzan hai naqd-e-jan ki tarah
kabhi jo hal-e-dil-e-ḳhun-chakan ka zikr chale
suna.iye unhen rudad-e-digaran ki tarah
saron ke chand farozan hain rah-e-ulfat men
chamak rahi hai zamin aaj kahkashan ki tarah
kisi masih ke qadmon ki ahaTen sun kar
salib jhuum uThi shaḳh-e-ashiyan ki tarah
kahan se la.iye rana.i-e-ḳhayal ‘shamim’
subu-e-dil bhi hai ḳhali subu-e-jan ki tarah
Leave a Reply