jab tira aasra nahin milta
koi bhi rasta nahin milta
apna apna nasib hai pyare
varna duniya men kya nahin milta
tu ne dhunda nahin tah-e-dil se
varna kis ja khuda nahin milta
log milte hain phir bichhadte hain
koi dard-ashna nahin milta
saari duniya ki hai khabar mujh ko
sirf apna pata nahin milta
hasraten dagh-o-dard-o-ranj-o-alam
dil ke daman men kya nahin milta
be-sahara bhi dekh lo jiina
har jagah aasra nahin milta
chehra chehra udaas lagta hai
jab tira rukh khula nahin milta
‘barq’ vo mehrban ho jis par
us ko duniya men kya nahin milta
Leave a Reply