• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Sau Sau Atkhaton Se Ghar Se Bahar do Qadam Nikle

Wo Sau Sau Atkhaton Se Ghar Se Bahar do Qadam Nikle

bahadur-shah-zafar

vo sau sau atkhaton se ghar se bahar do qadam nikle

bala se us ki gar us men kisi muztar ka dam nikle

kahan aansu ke qatre khun-e-dil se hain baham nikle

ye dil men jama the muddat se kuchh paikan-e-gham nikle

mire mazmun-e-soz-e-dil se khat sab jal gaya mera

qalam se harf jo nikle sharar hi yak-qalam nikle

nikal ai charagar tu shauq se lekin sar-e-paikan

udhar nikle jigar se tiir udhar qalib se dam nikle

tasavvur se lab-e-laalin ke tere ham agar ro den

to jo lakht-e-jigar aankhon se nikle ik raqam nikle

nahin darte agar hon laakh zindan yaar zindan se

junun ab to misal-e-nala-e-zanjir ham nikle

jigar par daagh lab par dud-e-dil aur ashk daman men

tiri mahfil se ham manind-e-shama subh-dam nikle

agar hota zamana gesu-e-shab-rang ka tere

miri shab-diz sauda ka ziyada-tar qadam nikle

kaji jin ki tabiat men hai kab hoti vo sidhi hai

kaho shakh-e-gul-e-tasvir se kis tarah kham nikle

shumar ik shab kiya ham ne jo apne dil ke daghon se

to anjum charkh-e-hashtum ke bahut se un se kam nikle

khuda ke vaste zahid utha parda na kaabe ka

kahin aisa na ho yaan bhi vahi kafir-sanam nikle

tamanna hai ye dil men jab talak hai dam men dam apne

‘zafar’ munh se hamare naam us ka dam-ba-dam nikle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kis Tarah chhoD Dun Ai Yar Main Chahat Teri

Darane Wala Sun Kar Dar Raha Hai

firaq-gorakhpuri

Aawaz Pe Sangit Ka Hota Hai Bharam

sarwat-zehra

Aamriyat Ka Qasida

poet

Jis Qadar Zabt Kiya Aur Bhi Rona Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet