la-makan se bhi pare ḳhud se mulaqat karen
khul ke tanhai ki vus.at pe zara baat karen
har baḌe naam ko chhoTon se jila milti hai
shahr ki hashiya-arai mazafat karen
laaj virani ki rakhni hai chalo ahl-e-junun
abla-pai se abad ḳharabat karen
khet sukhe to hava phir se sanak jaegi
aap badal hain to da.ava nahin barsat karen
gulnavazo hamen kanTon ne navaza hai bahut
ham pe vajib hai ki zaḳhmon ki mudarat karen
aish-e-avargi kya kya the tiri galiyon men
soch ki pariyan vahin ab guzar auqat karen
main agar zikr bhi us ka na karun sheron men
isti.arat alamat isharat karen
matn ko husn ke eraab ata ham ne kiye
ham se tashrih talab jism ki ayat karen
ghair mahram se bacha apni ghazal ko ‘azim’
chheḌḳhani na kahin maulvi hazrat karen
Leave a Reply