ufuq ke ḳhunin dhundlakon ka sub.h naam nahin
qadam baḌha ki ye sathi tira maqam nahin
abhi na de mujhe izn-e-bahar ai saaqi
abhi hayat sitaron se ham-kalam nahin
mila hai ab kahin sadiyon ke ba.ad maston ko
vo mai-kada ki jahan koi tishna kaam nahin
na arizon pe shafaq hai na gesuon men shikan
ye sub.h-o-sham nahin mere sub.h-o-sham nahin
bahar-e-dair-o-haram le ke kya karun naseh
ye qafile to abhi tak sahar-maqam nahin
qadam qadam pe hai darkar jahd-o-fikr-o-amal
ye zindagi hai sada-e-shikast-e-jam nahin
abhi to daman-e-shab men sisak rahi hai sahar
baḌhe chalo ki abhi sa.at-e-qayam nahin
Leave a Reply