kisht-e-dil viran sahi tuḳhm-e-havas boya nahin
ḳhvahishon ka bojh main ne aaj tak Dhoya nahin
us ki a.ankhon men bichha hai surḳh tahriron ka jaal
aisa lagta hai ki ik muddat se vo soya nahin
ḳhvab ki anjan khiḌki men nazar aaya tha jo
zehn ne us chehra-e-manus ko khoya nahin
ek muddat par mile bhi to na milne ki tarah
is tarah ḳhamosh ho munh men zaban goya nahin
main ne apni ḳhvahishon ka qatl ḳhud hi kar diya
haath ḳhun-alud hain in ko abhi dhoya nahin
dekh kar honTon pe mere muskurahaT ki lakir
vo samajhte hain ki ‘aslam’ main kabhi roya nahin
Leave a Reply