shauq-e-darbar men milte rahe darbanon se
ham ne ankhon se na dekha jo suna kanon se
talab-e-mehr thi zahir mire armanon se
kah gaya ek hi qissa ka.i unvanon se
bazm ki shaan ghaTi chaak garebanon se
jaane bhi diije ḳhata ho ga.i na-danon se
mahv-e-didar hue ham to kisi ki na suni
nuur ankhon men jo aaya to ga.e kanon se
un ke aane ki ḳhabar aa.i ilahi amin
kaash ankhon se bhi dekhun jo suna kanon se
qais-o-farhad ki taqlid hai ashufta-sari
ashiqi aam hui aise hi na-danon se
main samajhta huun mujhe aap ne mehman kiya
kyuun ta.aruf na karaya gaya mehmanon se
sahab pahchan liye jaate hain un ke ashiq
arzuon se tamannaon se armanon se
kahin ḳhuddaron ki vahshat ka pata chalta hai
astinon se garebanon se damanon se
kabhi chhoTon se baḌe kaam nikal jaate hain
mel rakh bar-gah-e-husn ke darbanon se
dard-mandon pe zara rahm karo be-dardo
zabt-e-fariyad ziyada to nahin janon se
vo jo anjan hain mahfil men to apna bhi salam
ham bhi milte nahin is taur ke an-janon se
munh pe bikhra liye baal aap ne sub.han-allah
dil-lagi dekh ke karte hain pareshanon se
ai safi’ rang jo apna hai use kyuun badlun
tohmaton se mujhe ab Dar hai na buhtanon se
Leave a Reply