ab nahin siine men mere ja-e-dagh
soz-e-dil se daagh hai bala-e-dagh
dil jala ankhen jalin ji jal gaya
ishq ne kya kya hamen dikhlae daagh
dil jigar jal kar hue hain donon ek
darmiyan aaya hai jab se pa-e-dagh
munfail hain laala o shama o charagh
ham ne bhi kya ashiqi men khaae daagh
vo nahin ab ‘mir’ jo chhati jale
kha gaya saare jigar ko haae daagh
Leave a Reply