dekho apnī āñkh-michaulī ek haqīqat ho ga.ī nā
tum se mujh ko mujh se tum ko aaj mohabbat ho ga.ī nā
maiñ ne kahā thā dhuup meñ mere saath na tum chal pāoge
mailī mailī tumhārī ujlī chāñd sī sūrat ho ga.ī nā
mahfil meñ hañste haiñ lekin tanhā.ī meñ rote haiñ
ek sī merī aur tumhārī ab ye hālat ho ga.ī nā
dozaḳh meñ pahuñchā.e baḌoñ ko un ke dikhāve ke sajde
bachchoñ ko maañ kī ḳhidmat se hāsil jannat ho ga.ī nā
diid kā maiñ bhūkā huuñ ‘hāfiz’ us kā ruḳh hai ik luqma
us ko dekhā to puurī āñkhoñ kī zarūrat ho ga.ī nā