ahl-e-dil mushkil meñ haiñ ahl-e-nazar mushkil meñ haiñ
aaj maiñ kyā mere saare ham-safar mushkil meñ haiñ
zindagī kī uljhanoñ kā kyā mudāvā kījiye
zaḳhm baḌhte jā rahe haiñ chāra-gar mushkil meñ haiñ
ye sukūt-e-shab ye zulmat aur ham shorīda-sar
ruḳhsat ai zindāñ tire dīvār-o-dar mushkil meñ haiñ
vo bahut achchhe haiñ tum jin kī nazar meñ kuchh nahīñ
ham ko dekho ham tumheñ pahchān kar mushkil meñ haiñ