tufan nazar men hai na kinara nazar men hai
ik azm-e-mo’atabar ka sahara nazar men hai
vo din ga.e ki tirgi-e-shab ka tha malal
ab jalva-e-sahar ka nazara nazar men hai
husn-e-numud-e-sub.h ka allah re kamal
bahta hua vo nuur ka dhara nazar men hai
kuchh zauq par garan to na tha husn-e-ka.enat
kya kijiye ki husn tumhara nazar men hai
dil ko luTe hue to zamana hua magar
ab bhi kisi nazar ka ishara nazar men hai
uf DabDabati aankh se girta hua vo ashk
ab tak vo Dubta hua taara nazar men hai
vo be-ruḳhi se dekhte hain dekhte to hain
‘mansha’ maqam kuchh to hamara nazar men hai
Leave a Reply