junun-e-shauq men apni girah se kya na gaya
ye aur baat ki ab tak vo hausla na gaya
ghubar-e-rah the barsa juun hi sahab-e-karam
kuchh aise baiTh ga.e ham ki phir uTha na gaya
ye hadisa hai ki afsana-e-gham-e-hasti
kahin kaha na gaya aur kahin suna na gaya
kahan kahan ise dekhun kahan kahan ja.un
talash ko vo koi da.era bana na gaya
kahan kahan na andheron ne rasta roka
magar ye shauq kahan mish.alen jala na gaya
na ho sake miri rahon men fasle haa.il
jahan main ḳhud na gaya tha mira fasana gaya
Leave a Reply