• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zer-O-Bam Se Saz-E-KHilqat Ke Jahan Banta Gaya

Zer-O-Bam Se Saz-E-KHilqat Ke Jahan Banta Gaya

zer-o-bam se saz-e-ḳhilqat ke jahan banta gaya

ye zamin banti ga.i ye asman banta gaya

dastan-e-jaur-e-behad ḳhuun se likhta raha

qatra qatra ashk-e-gham ka be-karan banta gaya

ishq-e-tanha se huiin abad kitni manzilen

ik musafir karvan-dar-karvan banta gaya

main tire jis gham ko apna janta tha vo bhi to

zeb-e-unvan-e-hadis-e-digaran banta gaya

baat nikle baat se jaise vo tha tera bayan

naam tera dastan-dar-dastan banta gaya

ham ko hai ma.alum sab rudad-e-ilm-o-falsafa

haan har iman-o-yaqin vahm-o-guman banta gaya

main kitab-e-dil men apna hal-e-gham likhta raha

har varaq ik bab-e-tariḳh-e-jahan banta gaya

bas usi ki tarjumani hai mire ash.ar men

jo sukut-e-raz rangin dastan banta gaya

main ne saunpa tha tujhe ik kaam saari umr men

vo bigaḌta hi gaya ai dil kahan banta gaya

vardat-e-dil ko dil hi men jagah dete rahe

har hisab-e-gham hisab-e-dostan banta gaya

meri ghuTTi men paḌi thi ho ke hal urdu zaban

jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya

vaqt ke hathon yahan kya kya ḳhazane luT ga.e

ek tera gham ki ganj-e-sha.igan banta gaya

sar-zamin-e-hind par aqvam-e-alam ke ‘firaq’

qafile baste ga.e hindostan banta gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Zindagi Ki Chahat Mein Zindagi Se Mat Khelo

Aaj Tak Phirta Raha Main Tujh Mein Hi Khoya Hua

Kuchh Aisa Pas-E-Ghairat uTh Gaya Is Ahd-E-Pur-Fan Mein

Jawab Soch Ke Mujhko Jawab De Dena

poet

Faza Mein Daere Bikhre Hue Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet