• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Niyyat Agar KHarab Hui Hai Huzur Ki

Niyyat Agar KHarab Hui Hai Huzur Ki

poet

niyyat agar ḳharab hui hai huzur ki

gaḌ.h lo koi kahani hamare qusur ki

kyuun dil ki aag le na ḳhabar duur duur ki

kaundi hai har dimagh men bijli futur ki

har zulm par kiya hai zamane se ehtijaj

kuchh bhi na ban paḌa to mazammat zarur ki

ta.amir ka to vaqt hai taḳhrib ka junun

ab bhi hai aadmi ko zarurat shu.ur ki

ai sham-e-gham ki gahri ḳhamoshi tujhe salam

kanon men ek aa.i hai avaz duur ki

hosh uḌ ga.e to hosh haqiqat ka aa gaya

muusa ki be-hisi men tajalli thi nuur ki

kahta hai inqalab zamana jise ‘falak’

ik duniya muntazir hai usi ke zuhur ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rang to Maujud Ki Taswir Ho Sakte Nahin

Hangama-E-KHudi Se Tu Be-Niyaz Ho Ja

Humne Kisi Ki Yaad Mein Akasr Sharab Pi

Kyun Tere Sath Rahin Umr Basar Hone Tak

poet

Tark-E-Wafa Garche Sadaqat Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet