
Najma Shaheen Khosa
ibtida dard hai intiha dard hai
ishq ka dard to la-dava dard hai
main ne puchha vafa ka sila jo kabhi
us ne hans kar ye mujh se kaha dard hai
pyaar se ishq tak ja-ba-ja raushni
pyaar se ishq tak ja-ba-ja dard hai
ye naya phuul hai aur ye ḳhushbu na.i
ye na.i shaam hai aur naya dard hai
zaḳhm kaisa hai bharta nahin hai kabhi
dard hota nahin hai ye kya dard hai
main to Darne lagi us ki ta.abir se
pyaar ankhon men jab se bana dard hai
ek pal men kahan kho ga.i hai ḳhushi
ab to ulfat ki bas ik saza dard hai
chhoḌ ‘shahin’ vafa ka tu ab tazkira
bevafa hai ḳhushi ba-vafa dard hai

Leave a Reply