• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / diwar-e-girya

diwar-e-girya

shaista-mufti

ek divar jo haael hai miri sochon men

kitne pechida savalon se mujhe rokti hai

jab bhi main rakht-e-safar bandhti huun shane par

apni jadu-bhari hasti se mujhe tokti hai

ye jo divar ki rahti hai siyah khanon men

din dhale apne tilismat ko dikhlati hai

mujh ko mahsur kiye rakhti hai angaron men

chaar janib rukh-r-anvar se bahlati hai

aisa lagta hai ki taron se damakti hui raat

ik zara jumbish-e-mizhgan se bhi bujh jaegi

meri sochon ke tasalsul ko ye biphri nagin

ek hi aan men afsos nigal jaegi

subh hote hi ye divar-e-siyah khanon men

ret ke dher ki manind utar jaegi

raat ki jadugari khvab si ban jaegi

shama-danon men faqat raakh hi rah jaegi

ik naya din miri viran guzargahon par

le ke kashkol mire saath utar aaega

mere daman se lipat kar ye samay ka rela

mujh ko mujh se hi juda karne pe uksaega

”ek divar jo haael hai mari sochon men”

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Pas Rah Ke Bhi Mujh Mein Sama Nahin Sakta

poet

Ab Talak Tund Hawaon Ka Asar Baqi Hai

Kaise Har Dard Ko Sine Mein Chhupae Rakkhen

Ab Aankh Khuli Ab Hosh Aaya

La Ek KHum-E-Sharab Ki Mausam KHarab Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet