• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Mein dil-Lagi Si Rahti Hai

Ishq Mein dil-Lagi Si Rahti Hai

riyaz-khairabadi

ishq men dil-lagi si rahti hai

gham bhi ho to khushi si rahti hai

dil men kuchh gudgudi si rahti hai

munh par un ke hansi si rahti hai

ye hua hai khuda khuda kar ke

rat-din be-khudi si rahti hai

hashr ke din bhi kuchh gunah kar luun

maasiyat men kami si rahti hai

sadqe main apne ghuncha-dil ke

ye kali kuchh khili si rahti hai

itni pi hai ki baad-e-tauba bhi

be-piye be-khudi si rahti hai

aish bhi ho to lutf-e-aish nahin

har-dam afsurdagi si rahti hai

shab-e-gham ki sahar men nuur kahan

subh bhi shaam hi si rahti hai

ye nahin hai ki parda pad jaae

nashshe men agahi si rahti hai

rahte hain gul lahad ke pazhmurda

shama bhi kuchh bujhi si rahti hai

ho gai kya bala mire ghar ko

rat-din tirgi si rahti hai

ab junun ki evaz hai yad-e-junun

haath men hathkadi si rahti hai

kaf-e-pa se hina nahin chhutti

aag ye kuchh dabi si rahti hai

teri tasvir ho ki tegh tiri

ham se har-dam khinchi si rahti hai

badle botal ke ab haram men ‘riyaz’

haath men zamzami si rahti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Jab Bhi Ganw Apne lauTta Hun

Is Mahina Bhar Kahan Tha Saqiya Achchhi Tarah

haidar-ali-aatish

Kaun Se dil Mein Mohabbat Nahin Jaani Teri

poet

Kiya Jab Sabr Furqat Mein To Phir Zikr-E-Butan Kaisa

Sufi

Nae Sire Se Phir Aaj Kaifi Hum Apni duniya Basa Rahe Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet