jab tak shabd ke diip jalenge sab aenge tab tak yaar
kaun utrega dil ke andhe bhaon ke matlab tak yaar
chand baras ki raah men kitne sathi jivan chhod gae
jaane kitne ghaav lagenge umr kategi jab tak yaar
puchh na kya thi pichhle pahar ki dard bhari an-jani chikh
jo man ke patal se utthi rah gai aa ke lab tak yaar
kab bajega gaanv ke marghat ke pare mandir ke sankh
kab kaala jaadu tutega raat dhalegi kab tak yaar
‘saz’ ye sheron ki sargoshi tiri miri andar ki baat
rusva ho kar rah jaegi pahunch gai gar sab tak yaar
Leave a Reply