apne apne rang men yakta main hi main huun tu hi tu hai
husn ki murat ishq ka putla main hi main huun tu hi tu hai
duniya se kya matlab mujh ko aalam se kya tujh ko ta.alluq
mera dilbar tera shaida main hi main huun tu hi tu hai
chal kar phir kar dekha bhala jancha parkha samjha bujha
sab se a.ala sab se adna main hi main huun tu hi tu hai
zulm se rakkhe kaam hamesha da.ave karta jaa.e vafa ka
kaun zamane men hai aisa main hi main huun tu hi tu hai
ḳhun-e-jigar se qaul raha ye mere ashk-e-chashm-e-tar ka
chaḌhta dariya bahta dariya main hi main huun tu hi tu hai
tu hi tu hai main hi main huun aalam men aalam se nirala
duniya men duniya se anokha main hi main huun tu hi tu hai
dil na tujhe lena tha mujh se jaan mujhe deni thi na tujh par
kaisa duniya bhar men rusva main hi main huun tu hi tu hai
kaisi azra kaisi laila kaisa vamiq kaisa majnun
ab mash.hur jahan men kya kya main hi main huun tu hi tu hai
yuun to hain ma.ashuq hazaron yuun to hain lakhon ashiq bhi
lekin behtar nadir-e-yakta main hi main huun tu hi tu hai
‘nuh’ ye baten miT ja.engi tere mere miT jaane se
chahne vaala ishq-o-vafa ka main hi main huun tu hi tu hai
Leave a Reply