zindagi khinch ga.i mujh se tire abru ki tarah
apne hi ḳhuun ka pyasa huun lab-e-ju ki tarah
vo sitara jo mire naam se mansub hua
dida-e-shab men hai ik aḳhiri aansu ki tarah
sho.ala-e-soz-e-darun sard hua jaata hai
koi samjha.e saba ko ki chale lu ki tarah
koi divana uThe ḳhaak uḌane ke liye
aaj bhi dasht hain phaile hue baazu ki tarah
is bhare shahar men karta huun hava se baten
paanv paḌta hai zamin par mira aahu ki tarah
shabnami haath baḌha.un ki khule darvaza
bin khile phuul ke zindan men huun ḳhushbu ki tarah
chahte hain jo ‘muzaffar’ gham-e-hasti se farar
baiTh jaa.en vo gaḌha khod ke sadhu ki tarah
Leave a Reply