phir faza dhundla ga.i asar hain tufan ke
kanpte hain phuul kamre men mire gul-dan ke
chal rahe hain dil men naḳhlistan ka arman liye
ham musafir zindagi ke tapte registan ke
sail-e-gham rakhta hai yuun mere iradon ko javan
jis tarah sailab men phalte hain paude dhaan ke
toḌ dega ik na ik din ye tilism auham ka
saaf dete hain pata tevar na.e insan ke
dosto jis dam utar jaata hai gandum ka ḳhumar
zehn ki shaḳhon se uḌ jaate hain panchhi dhyan ke
Leave a Reply