ban gaya tadbir se har rasta taqdir ka
ab nahin kuchh khauf pairon ko kisi zanjir ka
kar diya khamosh shoalon ne jala kar har varaq
lafz phir bhi chikhta ik rah gaya tahrir ka
khaak sargardan hai har su kuchh nahin badla yahan
dekhti hain ab bhi rahen rasta rahgir ka
ek rukh par thiin baharen ek rukh be-rang-o-nur
aur meri samt tha be-rang rukh tasvir ka
jab nishane par mire dil ke siva kuchh bhi na tha
phir asar hota na kyuun teri nazar ke tiir ka
ham faqiri men ‘alina’ shaad hain abad hain
kya hamen karna hai teri daulat-o-jagir ka
Leave a Reply