kaf-e-qatil men ḳhanjar jagta hai
baḌa pur-kaif manzar jagta hai
udhar angḌa.iyan leti hain ninden
idhar zaḳhmon ka bistar jagta hai
uThe hai pahle siine men dhuan sa
phir ankhon men samundar jagta hai
ajab hai dard ko yadon se nisbat
ki naghma jaise lai par jagta hai
tamannaon ka ye anjam tauba
lahu ka ik samundar jagta hai
ye aalam to na tha darman se pahle
ki ab rag rag men nishtar jagta hai
tumhare sher bhi ‘asrar’ kya hain
bas ik lafzon ka lashkar jagta hai
Leave a Reply