sar-e-sahra-e-jan ham chak-damani bhi karte hain
zarurat aa paḌe to ret ko paani bhi karte hain
kabhi dariya uTha laate hain apni TuuTi kashti men
kabhi ik qatra-e-shabnam se tughyani bhi karte hain
kabhi aisa ki a.ankhon men nahin rakhte hain koi ḳhvab
kabhi yuun hai ki ḳhvabon ki faravani bhi karte hain
hamesha aap ka har hukm sar a.ankhon pe rakhte hain
magar ye yaad rakhiyega ki man-mani bhi karte hain
miyan tum dost ban kar jo hamare saath karte ho
vahi sab kuchh hamare dushman-e-jani bhi karte hain
ye kya qatil hain, pahle qatl karte hain mohabbat ka
phir us ke ba.ad iz.har-e-pashemani bhi karte hain
tujhe ta.amir kar lena to ik asan sa fan hai
rifaqat ke mahal! ham teri darbani bhi karte hain
Leave a Reply