main dekh bhi na saka mere gird kya gaya tha
ki jis maqam pe main tha vahan ujala tha
durust hai ki vo jangal ki aag thi lekin
vahin qarib hi dariya bhi ik guzarta tha
tum aa ga.e to chamakne lagi hain divaren
abhi abhi to yahan par baḌa andhera tha
labon pe ḳhair tabassum bikhar bikhar hi gaya
ye aur baat ki hansne ko dil tarasta tha
suna hai log bahut se mile the raste men
miri nazar se to bas ek shaḳhs guzra tha
ulajh paḌi thi muqaddar se aarzu meri
dam-e-firaq use rokna bhi chaha tha
mahak raha hai chaman ki tarah vo a.ina
ki jis men tu ne kabhi apna ruup dekha tha
ghaTa uThi hai to phir yaad aa gaya ‘anvar’
ajiib shaḳhs tha akasr udaas rahta tha
Leave a Reply