ye qadam qadam kashakash dil be-qarar kya hai
jo yaqin na ho amal par to nashat-e-kar kya hai
ba-ḳhuda nasim-e-gulshan tiri vahshaton ke sadqe
ye mizaj-e-nama-bar hai to mizaj-e-yar kya hai
vo karam na ho sitam ho koi baat kam se kam ho
ye ada-e-be-niyazi mire gham-gusar kya hai
ye ham ahl-e-gham ki manzil hai dabe qadam guzar ja
ki ajal yahan ke fitnon men tira shumar kya hai
abhi aa ke naghma-e-dil ki bahar dekh jaao
main nava-e-ḳhud-shikan huun mira e’tibar kya hai
Leave a Reply