jab apnon se duur parae des men rahna padta hai
san-guman na hon jis ka vo dukh bhi sahna padta hai
khud ko marna padta hai is aate daal ke chakkar men
do kaudi ke aadmi ko bhi sahab kahna padta hai
banjar hoti jaati ho jab pal pal yadon ki vaadi
dariya ban kar apni hi aankhon se bahna padta hai
mahrumi ki chadar odhe tanha qaidi ki manind
khalam-khali divaron ke andar rahna padta hai
baten karni padti hain divar pe baithe kavve se
is chidiya se saare din ka qissa kahna padta hai
Leave a Reply