jang-e-hayat-o-maut men kya kya nahin hua
guzra hai dard had se pe chara nahin hua
main ne sada rakhin yahin qatron si fitraten
main aaj tak ghurur ka dariya nahin hua
kya hadsa hai ye bhi ki rishta tira mira
bas biij rah gaya kabhi pauda nahin hua
jab ilm ne jahan ko taqsim kar diya
achchha hai la-ḳhirad huun main daana nahin hua
bimariyon men aaega pursish ko roz vo
ye soch kar ‘sahab’ main achchha nahin hua
Leave a Reply