jab talak ab-o-dana lagta hai
ye jahan ashiyana lagta hai
ghuncha ghuncha khila hai phulon sa
aap ka muskurana lagta hai
meri maan ka diya hua rumal
dhuup men shamiyana lagta hai
aaj lambe safar pe chalte hain
aaj mausam suhana lagta hai
aise bachchon ko kaun samjha.e
ghar jinhen qaid-ḳhana lagta hai
aap ka dard dard hai lekin
dusron ka bahana lagta hai
tu vafadar hai to phir ‘ulfat’
kyuun bura azmana lagta hai
Leave a Reply