• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab to Tum Bhi Jawan Hue Ho Dekhenge Dil Ko Bachaoge Tum

Ab to Tum Bhi Jawan Hue Ho Dekhenge Dil Ko Bachaoge Tum

poet

ab to tum bhi javan hue ho dekhenge dil ko bachaoge tum

mil jo gaya ham-chashm koi phir aankh usi se laḌaoge tum

ab jo ham tum se karte hain tum bhi kisi se karoge vahi

ham se tumhara suluk hai jaisa vaisa hi badla paoge tum

be-tabi se karoge kya kya na ka.i kisi ki majlis men

aaoge tum baiThoge tum phir aaoge tum uTh jaoge tum

ra.asha thi zaban men luknat paanv beḌi mohra denge

munh se kuchh ka kuchh niklega dil men jo Thahraoge tum

vo to tumhari siikh tumhin se baat men baat nikalega

meri surat apna sa munh taak ke phir rah jaoge tum

naam ko daana do do din tak meri tarah dekhoge nahin

jab main bahut samjha.unga to thoḌa sa khana khaoge tum

na.i na.i choTen kha kha kar jab be-kal ho ho jaoge

mujh ko hamdard apna samajh kahne ko gham ke aaoge tum

har har baat men ro ro ke ghabra ghabra kar bologe

kaise gharib gharib se ho kar dil ki baten sunaoge tum

mere haal pe sheron ke mazmun bahut yaad a.enge

das das baar ek ek ghazal ko mujh se phir paḌhvaoge tum

dil men tum apne mat laana jiite rahe gar mir-‘raza’

de dil us ka haath men le ke jaise dil ko lagaoge tum

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ta-Abad Ek Hi Charcha Hoga

Manzar-E-Waqt Ki Yaksani Mein baiTha Hua Hun

ajay-sahaab

Bikhra Hun Jab Main Khud Yahan Koi Mujhe Girae Kyun

abdul-hamid-adam

Aaj Phir Ruh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai

sameena-raja

Hijr Ki Umr Badhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet