kaha main ne miri ankhon men paani hai
javab aaya mohabbat ki nishani hai
kaha main ne lagi dil ki bujhani hai
javab aaya ye jazba javedani hai
kaha main ne khilenge kab vafa ke phuul
javab aaya abhi mausam ḳhizani hai
kaha main ne mohabbat mehvar-e-hasti
javab aaya bala-e-na-gahani hai
kaha main ne ki har lamha sisakta huun
javab aaya ki ulfat to nibhani hai
kaha main ne sitam itna nahin achchha
javab aaya mohabbat azmani hai
kaha main ne mata-e-zist ya.ani tu
javab aaya yahan har chiiz faani hai
kaha main ne ki dekh in surḳh ankhon men
javab aaya mohabbat asmani hai
kaha main ne ki kyon itne gurezan ho
javab aaya tumhari mehrbani hai
kaha main ne miri ghazlon ki jaan ho tum
javab aaya tumhari ḳhush-gumani hai
kaha main ne ḳhamoshi maar Dalegi
javab un ka mukammal be-zabani hai
kaha main ne sunao hal-e-dil ‘raghib’
javab aaya bahut lambi kahani hai
Leave a Reply