falak ko fikr koi mehr-o-mah tak pahonche
hamen ye zo.am ki ham vaah vaah tak pahonche
unhen na rakh tu karam ki nigah se mahrum
jo luT-luTa ke tiri bargah tak pahonche
hua na ham se mudava-e-dard-e-nau-e-bashar
bahut chale to savab-o-gunah tak pahonche
na jaane kab se huun sargarm-e-justuju ai dost
na jaane kab ruḳh-e-manzil nigah tak pahonche
vufur-e-shauq men ye ehtiyat ho na saki
ki aarzu na hamari nigah tak pahonche
hamari ziist ki rudad-e-gul ye hai ‘javed’
ki mai-kade se chale ḳhanqah tak pahonche
Leave a Reply