chale the yaar bade zoam men hava ki tarah
palat ke dekha to baithe hain naqsh-e-pa ki tarah
mujhe vafa ki talab hai magar har ik se nahin
koi mile magar us yar-e-bevafa ki tarah
mire vajud ka sahra hai muntazir kab se
kabhi to aa jaras-e-ghuncha ki sada ki tarah
vo ajnabi tha to kyuun mujh se pher kar ankhen
guzar gaya kisi derina ashna ki tarah
kashan kashan liye jaati hai janib-e-manzil
nafas ki dor bhi zanjir-e-be-sada ki tarah
‘faraz’ kis ke sitam ka gila karen kis se
ki be-niyaz hui khalq bhi khuda ki tarah
Leave a Reply