• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dar Khula Subh Ko Pau Phatte Hi Mai-Khane Ka

dar Khula Subh Ko Pau Phatte Hi Mai-Khane Ka

riyaz-khairabadi

dar khula subh ko pau phatte hi mai-khane ka

aks suraj hai chhalakte hue paimane ka

husn maujon ka chhalakna bhare paimane ka

raqs pariyon ka hai aalam hai pari-khane ka

haae zanjir-shikan vo kashish-e-fasl-e-bahar

aur zindan se nikalna tire divane ka

sadqe us soz ke jo soz ho us husn ke saath

shoala goya par-e-parvaz hai parvane ka

hon vahan gham hai jahan hasti-e-mauhum miri

dusra naam adam hai mire virane ka

na bayan ho jo mile subh-e-azal sham-e-abad

hashr hai beach ka tukda mire afsane ka

parda bhi baat bhi jalva bhi pas-e-daman-e-barq

shokhiyan hain ki ye andaz hai sharmane ka

baal ke badle nazar aate hain is men sau chaak

aks aina-e-dil par bhi pada shane ka

pet men khum ke hai jo kuchh vo bhara hai is men

munh na khulva are vaaiz mire paimane ka

kya tasavvur hi se uth jaate hain parde dil ke

dil bhi kya naam hai un ke kisi kashane ka

rakhti hai alam-e-nau sorish-e-hangama-e-ishq

hashr ik harf-e-ghalat hai mire afsane ka

aap ke haar ki kaliyon se ye milne ka nahin

dil hai mitti ka na ghulne ka na murjhane ka

khinchne vaali ki jhalak dekhi hai jab se saaqi

dekhna munh mujhe angur ke har daane ka

phirti hai hashr ke din aankh ke niche shab-e-vasl

haae andaz vo us zulf ke bal khane ka

sham-e-kaaba rahe mahfuz ilahi ta-hashr

naam raushan hai ik ujde hue but-khane ka

na hava thi na miri ah-e-adu the vo the

haal shab ko na khula shama ke bujh jaane ka

log kahte hain ki hai zahid-e-martaz ‘riyaz’

rind kahte hain use chor hai mai-khane ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bund Pani Ko Mera Shahr Taras Jata Hai

obaidullah-aleem

Kuchh Ishq Tha Kuchh Majburi Thi So Maine Jiwan War diya

Husn Jitna Hi Sada Hota Hai

Koi Tohmat Ho Mere Nam Chali Aati Hai

poet

Shoara Mein Na Ho Kyun Sher Hamara Uncha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet