kuchh hina se nahin hai us kaf-e-pa ki ḳhubi
balki hai us kaf-e-pa hi se hina ki ḳhubi
zeb-tan us ke hui ye hai qaba ki ḳhubi
nik.hat-e-zulf ka laana hai saba ki ḳhubi
misl-e-a.ina ke zahir men safa hain to kya
ahl-e-alam men hai batin ki safa ki ḳhubi
ustuḳhvan-reza pe karta hai qana.at jo vo
us se hai saare tuyuron men huma ki ḳhubi
janvar hai na ho insan men gar sharm-o-haya
kyon hai insan men faqat sharm-o-haya ki ḳhubi
ḳhubi-e-ahl-e-duval daulat-o-hashmat se nahin
mutavaze ho yahi hai umara ki ḳhubi
sehat-o-afiyat-o-farhat-e-rizq-o-iman
aish baḳhshi tujhe hai sab ye ḳhuda ki ḳhubi
Leave a Reply