saval be-aman ban ke rah gae
javab imtihan ban ke rah gae
had-e-nigah tak buland falsafe
gharon ke saeban ban ke rah gae
jo zehan, agahi ki kar-gah the
khayal ki dukan ban ke rah gae
bayaz par sambhal sake na tajrabe
phisal pade bayan ban ke rah gae
kiran kiran yaqin jaise raste
dhuan dhuan guman ban ke rah gae
ziyaen bantte the, chand the kabhi
gahan laga to daan ban ke rah gae
mira vajud shahr shahr ho gaya
kahin kahin nishan ‘ban’ ke rah gae
kamar javab de ke jhuk gai badan
savaliya nishan ban ke rah gae
main fan ki saaton ko lab na de saka
nuqush be-zaban ban ke rah gae
nafas nafas talab talab the ‘saz’ ham
qadam qadam takan ban ke rah gae
Leave a Reply