chain aata nahin un se mulaqat kiye bin
bolen na vo main rahti nahin baat kiye bin
kambaḳht havaon ne ye kya keh diya un se
kyon abr uḌe jaate hain barsat kiye bin
mai aa ga.i ghar men ye ḳhabar shaiḳh na sun len
lauT a.enge masjid se munajat kiye bin
shayad unhen Dar ho main shikayat karungi
aa.e the ga.e pursish-e-halat kiye bin
tum un se koi baat isharon men na karna
kam-fahm na manenge savalat kiye bin
sultan ko apna koi shahkar na kar pesh
chhoḌega na vo tujh ko qalam haath kiye bin
kya vaz.a banate hain siyasat ke masha.iḳh
aabid nazar aate hain ibadat kiye bin
Leave a Reply