mauj-e-shamim hain na ḳhiram-e-saba hain ham
Thahri hui gulon ke labon par dua hain ham
begana ḳhalq se hain na tujh se ḳhafa hain ham
ai zindagi muaaf ki dair-ashna hain ham
is raaz ko bhi faash kar ai chashm-e-dil-navaz
kanTa khaTak raha hai ye dil men ki kya hain ham
yarab tira kamal-e-hunar ham pe ḳhatm hai
ya sirf mashq-e-naz ka ik tajraba hain ham
aḳhir tire suluk ne jhuTla diya ise
ik zo.am tha hamin ki sarapa vafa hain ham
kal is zamin pe utrenge phulon ke qafile
ik paikar-e-bahar ki avaz-e-pa hain ham
Leave a Reply