bhala kahan kise mumkin hai ye ada har baar
charagh rakhta hai lau par dam-e-hava har baar
tu apne hathon ki ThanDak se kar mujhe manus
tu meri ankhon pe rakh shola-e-hina har baar
kabhi to mere lahu ke nishan banenge phuul
main gham ke dasht se guzra barhana-pa har baar
ye meri zaat se nisbat hui hai ab kis ko
main ḳhud ko dekhta huun kyuun juda juda har baar
kabhi to chamkega dil raas aa.egi duniya
jahan se guzra huun ye sochta hua har baar
bacha ke rakkhe salamat na koi jaan apni
suna.i deti hai bas ik yahi sada har baar
vo ‘tur’ kyuun miri baton pe ghussa karta hai
akharta kyuun hai use mera puchhna har baar
Leave a Reply