kisi safar kisi asbab se ilaqa nahin
tumhare baad kisi ḳhvab se ilaqa nahin
hamare ahd ki divangi hamin se hai
hamare asr ko mahtab se ilaqa nahin
magar ye ḳhvab agar ḳhvab hain to kaise hain
ki jin ko dida-e-be-ḳhvab se ilaqa nahin
har ek saaz ko sazindagan nahin darkar
badan ko zarbat-e-mizrab se ilaqa nahin
Leave a Reply