jis din se koi ḳhvahish-e-duniya nahin rakhta
main dil men kisi baat ka khaTka nahin rakhta
mujh men hai yahi aib ki auron ki tarah main
chehre pe kabhi dusra chehra nahin rakhta
kyuun qatl mujhe kar ke Dubote ho nadi men
do din bhi kisi laash ko dariya nahin rakhta
kyuun mujh ko lahu dene pe tum log ba-zid ho
main sar pe kisi shaḳhs ka qarza nahin rakhta
ahbab to ahbab hain dushman ke ta.iin bhi
kam-zarf zamane ka ravayya nahin rakhta
ye sach hai ki main ghalib-e-sani nahin lekin
yaran-e-muasir ka bhi lahja nahin rakhta
badal to ‘faragh’ asl men hota hai vo badal
jo pyaas ke sahra ko bhi pyasa nahin rakhta
Leave a Reply