dekh aqd-e-surayya hamen angur ki sujhi
kyuun bada-kashan ham ko bhi kya duur ki sujhi
ghash kha ke gira pahle hi shoale ki jhalak se
muusa ko bhala kahiye to kya tuur ki sujhi
ham ne to use dekh ye jaana ki pari hai
pariyon ne jo dekha to unhen huur ki sujhi
dekha jo nahane men vo gora badan us ka
billor ki chauki pe jhalak nuur ki sujhi
sar paanv se jab phans gae us zulf-e-siyah men
jab ham ko syahi-e-shab-e-dijur ki sujhi
jannat ke liye shaikh jo karta hai ibadat
ki ghaur jo khatir men to mazdur ki sujhi
masnua men sanea nazar aave to ‘nazir’ aah
nazdik ki phir kya hai jahan duur ki sujhi
Leave a Reply