kise shu.ur hai yuun zaḳhm-e-dil dikhane ka
kahin na dekhoge ye rang muskurane ka
mira lahu hai nigar-e-hayat ki mehndi
mujhe dimagh kahan ashk-e-ḳhun bahane ka
nashat-e-gham hi to is zindagi ka hasil hai
agar ho dil men saliqa ye lutf paane ka
qafas men jalva-e-gul ka bhi ehtimam sahi
magar vo alam-e-azad ashiyane ka
jo zarra hai vo dhaḌakta hua sa ik dil hai
ye ka.enat ta.assur hai kis tarane ka
sitaron men hi tarannum shagufon men gulbang
kahan nahin hai fusun un ke gungunane ka
mira suḳhan hai manar un ke husn ka ‘kaukab’
hila sakega na tufan kisi zamane ka
Leave a Reply