agar hai zindagī ik jashn to nā-mehrbāñ kyoñ hai
fasurda rañg meñ Duubī huī har dāstāñ kyoñ hai
tumheñ ham se mohabbat hai hameñ tum se mohabbat hai
anā kā dā.era phir bhī hamāre darmiyāñ kyoñ hai
vahī sab kuchh razā us kī to phir dil meñ gumāñ kyoñ hai
savāloñ aur javāboñ se pareshāñ merī jaañ kyoñ hai
har ik manzar ke pas-manzar meñ terā hī karishma hai
yaqīnan ḳhāliq-e-kun tū to āñkhoñ se nihāñ kyoñ hai
tujhī ko hai mayassar har burā.ī kā daman karnā
to nā-insāfiyoñ ke daur meñ tū be-zabāñ kyoñ hai