be-lag hain ham ham ko rukavat nahin aati
kya baat banaven ki banavat nahin aati
hai dhyan laga dar ki taraf par kai din se
kanon men tire paanv ki aahat nahin aati
dandan-e-havas se use masla hai kisu ne
bose se to lab par ye nilahat nahin aati
kajal ne tiri ankhon men jo lutf diya hai
har ek ke hisse ye ghulavat nahin aati
kya jama-e-chaspan ka tire vasf karun main
taqrir men kuchh us ki sajavat nahin aati
hai rang siyahi liye juun us ki hina ka
hathon pe har ik ke ye udahat nahin aati
ai ‘mushafi’ baithe hain ham us bazm men khamosh
kya baat banaven ki banavat nahin aati
Leave a Reply