koi sang-e-rah bhi chamak utha to sitara-e-sahari kaha
miri raat bhi tire naam thi use kis ne tira-shabi kaha
mire roz o shab bhi ajiib the na shumar tha na hisab tha
kabhi umr bhar ki khabar na thi kabhi ek pal ko sadi kaha
mujhe janta bhi koi na tha mire be-niyaz tire siva
na shikast-e-dil na shikast-e-jan ki tiri khushi ko khushi kaha
koi yaad aa bhi gai to kya koi zakhm khil bhi utha to kya
jo saba qarib se ho chali use minnaton ki ghadi kaha
bhari dopahar men jo paas thi vo tire khayal ki chhanv thi
kabhi shakh-e-gul se misal di kabhi us ko sarv-e-samani kaha
kahin sang-e-rah kahin sang-e-dar ki main pattharon ke nagar men huun
ye nahin ki dil ko khabar na thi ye bata ki munh se kabhi kaha
mire harf harf ke haath men sabhi ainon ki hain kirchiyan
jo zaban se ho na saka ‘ada’ ba-hudud-e-be-sukhani kaha
Leave a Reply