Chhu Kar Hawa Pata Tere Ashkon Ka De Gai

chhū kar havā patā tire ashkoñ kā de ga.ī

dil kā qarār chain nigāhoñ kā le ga.ī

be-ḳhvāb merī niiñd ki jis tarah shab Dhale

ik sham.a dil kā dard akele sahe ga.ī

mauzūñ huā na koī bhī dil meñ ḳhayāl-e-shauq

dil meñ jo aarzū kī chitā thī jale ga.ī

sāhil pe jis qadar bhī gharauñde the bah ga.e

dīvār jo vafāoñ kī zāmin thī Dhe ga.ī

manzar badal badal ke mujhe de gayā sarāb

dil kā yaqīn qīmtī shai thī vo shai ga.ī

tāsīr ġham bhulāne kī kho dī sharāb ne

joñ hī hamāre haath se chhū kar ye mai ga.ī

Leave a Comment