• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Kaliyan Nila Aasman Zanjir

Kaliyan Nila Aasman Zanjir

sajida-zaidi

bahut dinon se udaas nazron ki rahguzar thi

padi thiin soti ufuq ki rahen

ki dil ki mahfil men

naghma o naala o nava ki

ajab si shorish nahin hui thi

nazar uthai to duur dhundli fazaon men

raushni ka ik daera sa dekha

laraz ke thahra jo dil

takhayyul ne apne shahpar faza men khole

ki jaise

parvaz ka sahifa khule

to niile gagan ke asrar jaag utthen

ki jaise

maah o nujum ki mamlikat ka rasta koi bata de

faza se parde koi utha de

ki jaise

ik be-kanar sahra men

mauj-e-reg-e-ravan nuqush-e-navi bana de

ki jaise taer-e-hava ki lahron pe, jumbish-e-par se

dastan-e-vajud likh den

ki jaise

tarik shab ke daman men

dast-e-qudrat, charagh-e-dil yak-ba-yak jala de

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kali Raaton Mein Bhar Gae aaKHir

Zinat-E-Shahr-E-Wafa Ku-E-Butan Hain Kuchh Log

Ishq Mein Jis Ke Ye Ahwal Bana Rakkha Hai

poet

Mizaj-E-Husn Mein Yarab Tu Pyar Paida Kar

Junun Ki Sarparasti Chahti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet